ud chale pakshi, man karta hai...ab main bhee ud jaaon, ek naye aasman ki or...
wo asman, jo uucha hai...
par nirmal hai, nischal hai...
sada naveen hai...
kaise paaon, kaise choo ke aaon...
kaise apnaon, kaise use apna banaon...
man ke kone se ek awaaz aati hai...
mana ki door hai, mana ki kathin hai...
par tujhe...
badhte jaana hai, badhte jana hai, badhte hee jana hai...
aur paana hai us lakshya ko, jo hai sabse ooncha, sabse nishchal, aur nit naveen, nit nutan.
shubhkaamnaayen!!!
WRITTEN BY D :)